Kitni pyari hoti hai muskurahatein
Dil ka haal bayan karti hai muskurahatein.
Kisi ke khushnuma pal ka ehsaas hai muskurahatein,
Kisi ke ghum ko chupane ka andaaz hai muskurahatein.
Har muskurahat kuch kehti hai humse,
Kitni muskurahatein pehchante ho? ye sawal hai tumse.
Ameer jab neecha dikhaye gareeb ka uska saath deti hai muskurahatein,
Jab bane mazaak kisi ke dard ka tab zeher lagti hai muskurahatein.
Kisi ka naqaab banti hai ye muskurahatein,
To kisi ke dard ka ilaaj banti hai muskurahatein.
Har muskurahat ka antar samjhna zaroori hai,
Kisi me samayi puri duniya
Koi adhe chand si adhuri hai.
Warna aayega samay aisa jab
Koi dard me muskurayega,
Log samjhenge khush hai bada
Agle din uska shok manyenge
Write a comment ...